kyunke kare na shahr ko ro ro ujaD chashm
tufa.n hai pahaD ku.n Dali ukhaD chashm
naddi kanar rukh ka ho hai na bas rast
rau kare bahae ashk sin mizhgan ke jhaD chashm
aashiq ka jaan kyu.nke bachega ki aaj dil
KHu.n ho tari nigah sin nakase hai phaD chashm
wo KHush-nigah dil mai.n laga ke gaya hai aag
aanjhu hue hain dana-e-barya.n bhaD chashm
tujh tegh abruwa.n ke muqabil hui thi aaj
dil chaak ho raha hai hamara daraD chashm
'yakru' ka kuchh gunah nahi.n sarw-qadd-e-jaan
chhaT us ki dekhta hai teri taD taD chashm
********************