donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Wahab Yakro
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* gudaz-e-atish-e-gham si.n hui hai.n bawli ankhiya.n *

gudaz-e-atish-e-gham si.n hui hai.n bawli ankhiya.n
anjhu ke bhant pani ho ke maTi mei.n ruli ankhiya.n
karengi qatl dil ku.n aaj tegh-e-abruwa.n-seti
nipaT KHuni.n hai.n zalim hum ni.n teri aTkali ankhiya.n
pae-daf-e-gazand-e-zul-fiqar abru tere mukh par
mizha kun kar zaba.n karti hai.n dam nad-e-ali ankhiya.n
agar dekhe.n bahaar-e-husn khil gul ke nama.n phule.n
rahi.n hai.n mund jaddai ye KHiza.n si.n ju.n kali ankhiya.n
nahi.n darkar kuchh ai KHush-nigah surme ka dumbaala
mera dil qatl karne ku.n yu bas hai.n aTkali ankhiya.n
gaya hai mah-ru jab si.n juda ho aab-e-haiwa.n ju.n
jase mahi juda jal sin tapi.n yu.n tilmili ankhiya.n
na howe dard-e-sar 'yakru' kun paida garmi-e-gham sun
agar dekhe.n piya ke mukh ka rang-e-sandali ankhiya.n

۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸
 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 124