ishq hai ishq-e-pak-bazi ka
go ki ho aalam-e-majazi ka
ishq ka tifl gir zamin upar
khel sikha hai KHak-bazi ka
dil ko mizhga.n ne.n le ke panje mei.n
kaam kita hai shah-bazi ka
kimiya sim-ta.n si.n milta hai
yahi hai fann sim-sazi ka
fazl-e-ahmad sin sher 'yakru' ka
rah hai parda-e-hijazi ka
۸۸۸۸۸۸۸۸۸