kab kare qasd yar aawa.n ka
dil-e-viran ke basawa.n ka
ram mashuq agar howe aashiq
toD de sar raqib rawa.n ka
jhaD mat jaan tujhe KHuda ki sun
dil mera hai ghubar dama.n ka
jab phaDakta hai bijli jyu.n dil
jhaD lagati hai naya.n sawan ka
bed-e-majnu.n kahoge 'yakru' ku.n
KHub laila sati hai baam.an ka
*******************