mujh si.n aur dilruba si.n hai an-ban
kiya karu.n fan kuchh aawati nahi.n ban
kuchh nahi.n aati sarw-qad si.n ban
phirta ho.n gard-baad jiyu.n ban ba.n
zulf teri siyah nagan hai
chhin leti hai har kisi ka man
dars sin alam ke hai dil bezar
KHub-ruyan ka KHub hai darshan
mujh ku.n waiz nako nasihat kar
yar jis sin mile batao fan
yak su 'yakru' ka hath pahunchta nahi.n
kyunke pakDega yar ka daman
*****************