sunaya yar ni.n aa kar do tara
bulandi pe chaDha mera sitara
mazedari hai sari hind ke bech
na kar azm-e-samarqand-o-buKHara
raha hai ishq-bazi bech wo chust
buta.n ka.n naqd-e-dil ku.n jin ni.n haara
rahega jaan jita kyunke 'yakru'
nigah ka tir tujh ankhiya.n ni.n mara
****************