agar nahi.n qasd ai zalim mere dil ke satane ka
sabab kya hai tujhe mujh se namane se bahane ka
hui muddat nahi.n taqat mere dil ku.n judai ki
karam kar aa sajan ya fikr kar mere bulane ka
shah-e-KHuban mere ghar raat ko aaya hai ai mutrib
mera dil shad hai ga rag ai mutrib shahane ka
na howe kyu.n ke gardun pe sada dil ki buland eti
hamari aah hai Danka damame ke bajaane ka
jabhi ho wasl hansi sin hisar-e-pairahan tab
tera 'yakru' tsunami hai nahi.n hargiz samane ka
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸