agar wo gul-badan dariya nahane be-hijab aawe
tajjub nahi.n ki sab pani sati bu-e-gulab aawe
jidha.n dekhu.n bahaaran mei.n nashat-e-bulbul-o-qumri
mujhe us waqt be-shak yaad ayyam-e-shabab aawe
mera afsana o afsu.n tere ka.n sabz kyu.nke ho
siyah mizhga.n tumhaari dekh ke sabze ku.n KHwab aawe
meri ankhiya.n phaDakti hai.n yaqi.n hai dil mani.n yara.n
ki name ku.n piyare ke kabutar le shitab aawe
siyah-masta.n ke aage si.n nikalna hai nipaT mushkil
agar hoshyar tujh ankhiya.n ke tai.n dekhe KHarab aawe
darang ek dam nahi.n lazim judai si.n phaDakta hai
kaho ja kar KHush-abru ku.n ki 'yakru' ka.n shitab aawe
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸