donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Wahab Yakro
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* gal ko sharminda kar ai shoKH gulista.n mei.n aa *

gal ko sharminda kar ai shoKH gulista.n mei.n aa
lab si.n ghunche ka jigar KHu.n karo muskya.n mei.n aa
wahi ek jalwa-numa jag mei.n hai duja koi nahi.n
dekh wajib ku.n sada majma-e-imka.n mei.n aa
zindagi mujh dil-e-murda ki tauhi.n hai mat ja
dil se gar KHush nahi.n ai shoKH meri jaa.n mei.n aa
gul dil-e-ghuncha nama.n tang ho rang-o-bu si.n
jab kare yaad tere lab ke tai.n dhyan mei.n aa
gar tu mushtaq hai dilbar safar-e-dariya ka
aa ke kar mauj mere dida-e-girya.n mei.n aa
mat mila kar tu raqiba.n si.n sabhi paji hai.n
dekh kar qadr aapas ka ai sanam shan mei.n aa
yu.n mera dil tere kuche ka bala-garda.n hai
jyu.n kabutar uDe hai chhatri ke gardan mei.n aa
gar karo qatl mere dil ku.n taghaful si.n jaa.n
phir ke dawa na karu.n hashr ke maida.n mei.n aa
dil-e-'yakru' hai tera pae bandhiya kakul ka
yaad rakh us ku.n sada mat kabhu nisya.n mei.n aa

۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸
 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 149