donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abeer Abu Zari
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* roya hoo.n teri yaad mai.n din raat musalsal *

roya hoo.n teri yaad mai.n din raat musalsal
aise kabhi hoti nahi barsaat musalsal

kante ki terha hoo.n mai.n raqeebo.n ki nazar mai.n
rehte hai.n meri ghaat mai.n che saat musalsal

Chehre ko nae dhab se wo karte hai.n musalla
bante hai.n meri maut ke halaat musalsal

ijlas ka unwan hay aklhas-o-murawwat
bad khoi mai.n masroof hai.n hazrat musalsal

ham ne to koi cheez bhi ijad nahi ki
aate hai.n nazar un ke kamalaat musalsal

karte hai.n musawaat ki tableegh wo joo.n joo.n
barhte hi jate hai.n tabqaat musalsal

har roz kisi shehr mai.n hote hai.n dhamake
rehti hai mere des mai.n shabraat musalsal

mullao.n ne Islam ke tukraat kiye hai.n
maslaat se phailate hai.n nafraat musalsal

har roz wo milte hai.n nae roop mai.n mujh ko
perte hai.n meri sehat per asraat musalsal

peete nahi banti hay to phir jati kaha.n hay
ye zehan mai.n uth te hai.n sawalat musalsal

umra k muwafiq hay fiza des mere kee
kat te hai.n jaha.n aesh mai.n lamhat musalsal

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 606