haal khulta nahi.n jabino.n se
ranj uThae hain jin qarino.n se
raat aahista-gam utri hai
dard ke mahtab zino.n se
hum ne socha na us ne jaana hai
dil bhi hote hai.n aabgino.n se
kaun lega sharar-e-jaan ka hisab
dast-e-imroz ke dafino.n se
tu ne mizhgan uTha ke dekha bhi
shahr KHali na tha makino.n se
aashna aashna payam aae
ajnabi ajnabi zamino.n se
ji ko aaram aa gaya hai ada
kabhi tufan kabhi safino.n se
****************