donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ada Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* har gam sambhal sambhal rahi thi *

har gam sambhal sambhal rahi thi
yaado.n ke bhanwar mei.n chal rahi thi
sanche mei.n KHabar ke Dhal rahi thi
ek KHwab ki lau se jal rahi thi
shabnam si lagi jo dekhne mai.n
patthar ki tarah pighal rahi thi
rudad safar ki puchhte ho
mai.n KHwab me.in jaise chal rahi thi
kaifiyat-e-intizar-e-paiham
hai aaj wahi jo kal rahi thi
thi harf-e-dua si yaad us ki
zanjir-e-firaq gal rahi thi
kaliyo.n ko nishan-e-rah dikha kar
mahki hui raat Dhal rahi thi
logo.n ko pasand laghzish-e-pa
aise mei.n ada sambhal rahi thi

******************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 227