donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ada Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ho.nTho.n pe kabhi un ke mera nam hi aae *

ho.nTho.n pe kabhi un ke mera nam hi aae
aae to sahi bar-sar-e-ilzam hi aae
hairan hai.n lab-basta hai.n dil-gir hai.n ghunche
KHushbu ki zabani tera paigham hi aae
lamhat-e-masarrat hain tasawwur se gureza.n
yaad aae hain jab bhi gham-o-alam hi aae
taron se saja lenge rah-e-shahr-e-tamanna
maqdur nahi.n subh chalo sham hi aae
kya rah badalne ka gila ham-safaro.n se
jis rah se chale tere dar-o-baam hi aae
thak-haar ke baiThe hai.n sar-e-ku-e-tamanna
kaam aae to phir jazba-e-nakaam hi aae
baqi na rahe sakh ada dasht-e-junu.n ki
dil mei.n agar andesha-e-anjam hi aae

******************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 226