donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ada Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* jo charagh sare bujha chuke unhe.n intizar kaha.n raha *

jo charagh sare bujha chuke unhe.n intizar kaha.n raha
ye suku.n ka daur-e-shadid hai koi be-qarar kaha.n raha
jo dua ko hath uThae bhi to murad yaad na aa saki
kisi karwa.n ka jo zikr tha wo pas-e-ghubar kaha.n raha
ye tulu-e-roz-e-malal hai so gila bhi kis se karenge hum
koi dilruba koi dil-shikan koi dil-figar kaha.n raha
koi baat KHwab-o-KHayal ki jo karo to waqt kaTega ab
hamei.n mausamo.n ke mizaj par koi etibar kaha.n raha
hamei.n ku-ba-ku jo liye phiri kisi naqsh-e-pa ki talash thi
koi aaftab tha zau-faga.n sar-e-rahguzar kaha.n raha
magar ek dhun to lagi rahi na ye dil dukha na gila hua
ki nigah ko rang-e-bahaar par koi iKHtiyar kaha.n raha
sar-e-dasht hi raha tishna-lab jise zindagi ki talash thi
jise zindagi ki talash thi lab-e-juebar kaha.n raha

********************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 215