donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ada Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* KHamushi se hui fugha.n se hui *

KHamushi se hui fugha.n se hui
ibtida ranj ki kaha.n se hui
koi tair idhar nahi.n aata
kaisi taqsir is maka.n se hui
mausamo.n par yaqi.n kyu.n chhoDa
bad-gumani to saeba.n se hui
be-nihayat samundaro.n ka safar
guftugu sirf baadba.n se hui
ye jo uljhi hui kahani hai
motabar harf-e-raega.n se hui
dil ki aabaadiyo.n ko puchho ho
raushni barq-e-be-ama.n se hui
tishnagi bebasi lab-e-dariya
meri pahchan hi waha.n se hui
itni ujli na thi ye rahguzar
naqsh-e-pa-e-bala-kasha.n se hui

******************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 230