roz-o-shab ki koi surat to bana kar rakhkhu.n
kisi lahje kisi aahaT ko saja kar rakhkhu.n
koi aansu sa ujala koi mahtab si yaad
ye KHazine hai.n inhe.n sab se chhupa kar rakhkhu.n
shor itna hai ki kuchh kah na sakungi us se
ab ye socha hai nigaho.n ko daba kar rakhkhu.n
aandhiya.n haar gai.n jab tu KHayal aaya hai
phul ko tund hawao.n se bacha kar rakhkhu.n
mere aanchal mei.n sitare hi sitare hai.n ada
ye jo sadiya.n hai.n judai ki saja kar rakhkhu.n
******************