waise hi KHayal aa gaya hai
ya dil mein malal aa gaya hai
aansu jo ruka wo kisht-e-jaan mei.n
barish ki misal aa gaya hai
gham ko na ziyan kaho ki dil mei.n
ek sahib-e-haal aa gaya hai
jugnu hi sahi fasil-e-shab mei.n
aaina-KHisal aa gaya hai
aa dekh ki mere aansuo.n mei.n
ye kis ka jamal aa gaya hai
muddat hui kuchh na dekhne ka
aankho.n ko kamal aa gaya hai
mai.n kitne hisar toD aai
jina tha muhaal aa gaya hai
****************