donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Adil Mansuri (U.S.A.)
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* AadhoN kii taraf se kabhii paunoN kii taraf se, *
AadhoN kii taraf se kabhii paunoN kii taraf se,
aavaaze kase jaate haiN baunoN kii taraf se,

hairat se sabhii Khaak-zada dekh rahe haiN,
har roz zamiiN ghaTtii hai konoN kii taraf se,

phir koii asaa de ki voh phuNkaarte nikle,
phir aZdahe Firaun ke TonoN kii taraf se,

baatoN kaa kii silsila jaari ho kisii taur,
khaamoshii hii khaamoshii hai donoN kii taraf se,

phir baad meN darvaaza dikhaa dete haiN Aadil,
pahle vo uThaa dete haiN bichhaunoN kii taraf se.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 305