|
* Is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai, *
Is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai,
goyaa kii muhabbat nahii.n ehsaan kiyaa hai,
sochaa thaa ki tum duusaro.n jaise nahii.n hoge,
tum ne bhii vahii kaam merii jaan kiyaa hai,
mushkil thaa bahuut mere liye tark-e-ta’alluq,
ye kaam bhii tum ne meraa aasaa.N kiyaa hai,
[tark (karanaa) = to give up; ta’alluq = relationship]
har roz sajaate hai.n terii hijr me.n Ghunche,
aa.Nkho.n ko terii yaad me.n guldaa.N kiyaa hai.
[hijr = separation; Ghunche = flower buds]
[guldaan = flower vase]
|
|