donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Afzal Minhas
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Karb ke shahar se nikle to ye manzar dekhaa, *
Karb ke shahar se nikle to ye manzar dekhaa,
ham ko logo.n ne bulaayaa hame.n chhuu kar dekhaa ,

[karb=anguish] 

jab bhii chaahaa hai ki malabuus-e-vafaa ko chhuu le.n,
misl Khushbuu ko_ii u.Dataa huaa paikar dekhaa ,

[malabuus=garment; misl=example; paikar=form] 

vo barasaat me.n bhiigaa to nigaahe.n uTThii.n,
yo.n lagaa hai ko_ii tarshaa huaa patthar dekhaa ,

zindagii kitnii pareshaa.N hai ye sochaa bhii na thaa,
is ke ataraaf me.n sholo.n kaa sama.ndar dekhaa ,

[ataraaf=all around] 

aa ga_ii Gham kii havaa phir tere gesuu chhuukar,
hamane viiraanaa-e-dil phir se mu’attar dekhaa ,

[gesuu=hair; mu’attar=filled with perfume] 

vo jo u.Datii hai sadaa dasht-e-vafaa me.n "Afzal",
usii miTTii me.n nihaa.N dard kaa gauhar dekhaa .

[dasht=desert; nihaa.N=hidden; gauhar=pearl] 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 369