|
* Aao husn e yaar ki batein karein, *
Aao husn e yaar ki batein karein,
Ishq ke izhaar ki batein karein,
Kuchch lab o rukhsaar ki batein karein,
Pyar aur takraar ki batein karein,
Saaz e dil woh jiski tu mizraab ho,
Saaz ke us taar ki baatein karein,
Daastan e zindagi ke kyon na ham,
Markazi kirdaar ki batein karein,
Ghamzah o naaz o ada husn e nazar,
Shewah e guftaar ki batein karein,
Aaj ham jab saath hai to kis liye,
Apne haal e zaar ki batein karein,
Bhool kar sab zindagi ke ranj o gham,
Gulshan o gulzaar ki batein karein,
Hijr mein ham par jo guzri bhool jaein,
Phir vesaal e yaar ki batein karein,
Bhool kar shikve gile ho jaein ek,
Aaj kyon bekaar ki batein karein,
Chod kar bughz o hasad fitnah fasaad,
Aao sab se pyaar ki batein karein,
Zindagi pazeb ki jhankaar hai,
Kyon na us jhankaar ki batein karein,
Dr.Ahmad Ali Barqi ke hum,
Dilnasheen ash’aar ki batein karein.
|
|