* Koi Chera Hua Roshan Na Ujagar Ankhen *
Koi Chera Hua Roshan Na Ujagar Ankhen
aina dekh rahi thin meri pathar ankhen
le uri vaqt ki andhi jinhen apne hamrah
aj phir Dhundh rahi hain vahi manzar ankhen
phut nikalin to kai shahar-e-tamanna Dube
ek qatre ko tarasati hui banjar ankhen
us ko dekha hai to ab shauq ka vo alam hai
apne halakon se nikal ai hain bahar ankhen
tu nigahon ki zuban Khub samajhata hoga
teri janib to |