donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Hassan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Apne Jaado Chalana Kahi'N Aur Tum, *
Apne Jaado Chalana Kahi'N Aur Tum,
Es Tarah Muskurana Kahi'N Aur Tum,

Kuch Bhi Kar Lo Mgar Ab Na Pighlo'nga Mein,
Ye Adaien Dikhana Kahi'N Aur Tum,

Zakhm Se Bhi Mra Kuch Na Bigrey Ga Ab,
Apne Khanjar Chalana Kahi'N Aur Tum,

Ab Ye Mairey Liye Qeemti Bhi Nahee,
Jaan Apni Ganwana Kahi'N Aur Tum,

Khair Maqdam Kary Ga Na Koocha Mra,
Chupkey Se Loat Jana Kahi'N Aur Tum,

Sakht Uljhan Thi Mumkin Na Kuch Bhi Howa,
Ye Kahaani Banana Kahi'N Aur Tum,

Mairi Aankho'n Se Kuch Bhi Na Tapkey Ga Ab,
Be-Baso'n Ko Rulaana Kahi'N Aur Tum,

Ye Nidamat Nahi Mujhko Sab Hay Khabarr,
Aisey Nazrein Jhukana Kahin Aur Tum,

Taira Ahmed Tha Mein Yaad Hay Tujhko Kiya?
Dhoondna Ab Dewaana Kahi'N Aur Tum...!!!!

(Ahmed Hassaan)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 479