donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahsaan Bin Danish
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* (Nazar fareb-e-kaza kha gai to kya hoga *
(Nazar fareb-e-kaza kha gai to kya hoga
hayat maut se takra gai to kya hoga 
nai sahar ke bahut log muntzir hain magar
nai sahar bhi kajla gai to kya hoga 
na rahnumaoon ki majalis main le chalo mujhko
mai be-adab hoon hansi a gai to kya hoga 
ghum-e-hayat se beshaq hai khudkushi asan
magar jo maut bhi sharma gai to kya hoga 
shabab-e-lala-o-gul ko pukarnewaloo
khiza-sirisht bahar a gai to kya hoga 
ye fikr kar ki is asodagi ke dhoke main
teri Khudi ko bhi maut a gai to kya hoga 
hoshi chini hai to Ghum ka bhi aitmad na kar
jo rooh Ghum se bhi ukta gai to kya hoga) _______________________________
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 320