donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahsan Aziz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Khwabida rozgaar me'n yeh mojeza bhi dekh, *
Khwabida rozgaar me'n yeh mojeza bhi dekh,
Har shai ko jaise Khwab hi me'n bolta bhi dekh,

Mahsoos kar hayat ki tanhayee yak bayak,
Haira'n , akela khud ko bhatakta hua bhi dekh,

Na aitbaar chashm ki saari Khalish ke sath,
Har naqshe aitbaar ko mit'Ta hua bhi dekh,

Thori si der garmiye mahfil me'n thahar kar,
Dil ko misale shola  sulagta hua bhi dekh,

Kya jane kab woh pass rahe ,kab nahi'n rahe,
Us ko bahut qareeb, bahut naarsa bhi dekh,

Dil ki tarah ,saba ki tarah, zulf ki tarah,
Ik lamha baar baar dharhakTa hua bhi dekh.
					6,Milner close, Temple stowe,
					Victoria-3106 (Australia)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 439