donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahteram Islam
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jis ki nazar mei’n kahei’n akse aitebar nahi’n, *
Jis ki nazar mei’n kahei’n akse aitebar nahi’n,
Dyar-e-aman bhi ab aman ka dyar nahi’n,
Yeh shahr-e-aish na raas aiga mujhe hergiz,
Yaha’n kisi ko kisika bhi intezar nahi’n,
Kabhi na jayu’n ga us ki gali mei’n kaise kahu’n,
Mai’n jaanta hu’n mujhe dil pe akhteyar nahi’n,
Dyar-e-seem tana ho ke bazam tanhayee,
Kahie’n bhi dil ke liye goshai qarar nahi’n,
Koi bhi khatrah hamei’n kaise ghair sakta hai,
Hamare yaro’n mei’n koi bhi shaheryaar nahi’n,
Woh gham hi kaya na kate jis ki aarzo mei’n hayat,
Woh dil hi kaya jo kabhi gham se hum kanar nahi’n,
Woh kaun hai jise lagta nahi’n kaseela such,
Woh kaun hai jise such jhelne se aar nahi’n.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 326