donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aisha Baig
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Salaam ba hazoor imaam-e-aali muqaam *
Salaam ba hazoor imaam-e-aali muqaam
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
 
Basad Khulus-o-aqeedat or ehtiraam salaam
Nabi kay deeN kay muhaafiz mere imaam salaam
 
Tere lahu se farozaaN hai harf-e-amr-o-nahi
Tere wajood se qaaim hai ye nizaam salaam
 
Na kar saka koi, jise Hussain tu ne kiya
Rukoo'e, sajda, Tahshahud , wazoo, qyaam, salaam
 
Kiya wo sabr keh loh-o-qalam bhi hairaaN thay
Thi taire haath maiN us waqt ki zimaam salaam
 
KahaaN pe hota ye islaam, tu jo jhuk jaata
kaTaa kay sar ko, diya deen ko dawaam salaam
 
ZameeN ka arsh ka paani ka nau'e-e-insaaN ka
HawaaoN aur fizaaoN ka sub'h-o-shaam salaam
 
uThaaya soch kay maiN ne qalam jo naam-e-Hussain
Tau ashk ashk ne aashi likha salaam salaam
~~~~~~~
Aisha Baig
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 388