|
* Tau kiyuN na aaNkhoN se aaye khushbu nazar nazar maiN gulaab Thehra *
G H A Z A L
~~~~~~~
Tau kiyuN na aaNkhoN se aaye khushbu nazar nazar maiN gulaab Thehra
Sabaa maiN kaise na taazgi ho, Sahar sahaR maiN gulaab Thehra
Safar Sitaara chamak rha hai, har aik rasta mahak rha hai
maiN Khush muqadar keh hamsafar bhi safar safar maiN gulaab Thehra
KhizaaN kay mosim ka sabr-e-paiham, jo jaaN gusil tha tau aaj hamdam
Uthaaye shaaKhoN ne kaise parcham, Samar samar maiN gulaab Thehra
Falak se utar rhi hai, Khumaar saaNsoN maiN bhar rhi hai
Hasin khushbu bikhar rhi hai qamar qamar maiN gulaab Thehra
Meri taman ki khush jabeeN kay meri wafa kay mere yaqeeN kay
Meri muhabbat ki sarzameeN kay nagar nagar maiN gulaab Thehra
Wo aaina ban kay tha muqaabil, na bus maiN Aashi rha mera dil
MaiN choNk uThi keh dhaRkanoN ki khabar khabar maiN gulaab Thehra
~~~~~~
Aisha Baig
~~~~~~
|
|