* Lahoo tapka rha hai marham-e-zakhm-e-jigar krna *
~~~~~~~
G H A Z A L
~~~~~~~
Lahoo tapka rha hai marham-e-zakhm-e-jigar krna
Agar mil jaaye kuch sabza tau kuch sabza idhar krna
Ghutan ki dam gusil chaadar ko auRhay kab talak dam looN
KahiN daikho hawa taaza mujhe us ki khabar krna
Mujhe tau rooh-e-sailaani hamaisha muztarib rakhay
KhalaaoN maiN safar karna kabhi pani maiN ghar krna
Agar har samt aNdhyaaroN kay mosim raqs krte hon
Charaagh-e-fkr ko sooraj bna laina sahar karna
ZamiN kay raastoN kay baNd darwaaze na waa hoN tau
Mere hamraah uRna or sar-e-aflaak dar krna
Misaal-e-roshni har gaam maira sath daina hai
YahaaN s khuld tak manzil ba manzil hamsafar krna
Kabhi mayusiaN Aashi na karna soch par taari
Hamaisha Fikr kay har zaawiye ko khush nazar krna
~~~~~~~
Aisha Baig
~~~~~~~
|