* Tu mahwar hai maiN taira aaina hooN *
G H A Z A L
~~~~~~~~
Tu mahwar hai maiN taira aaina hooN
Tere aaGhaaz ki maiN intihaa hooN
Hisaar-e-dast maiN rakhna hawaa hai
Deyaar-e-aarzu ka maiN diyaa hooN
IraadoN ko bikharne hi na dooN gi
Teri himmat hooN taira hosla hooN
Kabhi laila kay haathooN ka lahu tau
Kabhi sohni ka maiN kacha ghaRa hooN
Tu mairi dhaRkanoN ka saaz Thehra
Tere hoNToN pe lehraati sadaa hooN
Tu daikhay sirf , jis maiN aks apna
Wohi maiN khush muqaddar aaina hooN
HazaaroN meel tujh se door hooN par
Mujhe lagtaa hai maiN saaya tera hooN
Kabhi sapnoN ki soorat neeNd tairi
Kabhi aaNkhoN ka tairi ratjagaa hooN
Sun ae khushbu gulaab-e-jaaN fizaa sun
Safar jis maiN kare tu wo hawaa hooN
MaiN jis kay dil ki dhaRkan ban gyi hooN
Wo kehta hai ! maiN tujh maiN ji rha hooN
DhaRakti hai jo dil maiN muddatoN se
Usi aasha ka Aashi mud'aa hooN
~~~~~~
Aisha Baig
~~~~~~
|