donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Akbar Allahabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aankhe.n mujhe talvo.n se vo malne nahii.n dete *

Aankhe’n mujhe talvo’n se vo malne nahii’n dete
Armaan mere dil kaa nikalne nahii’n dete

Khaatir se terii yaad ko Talne nahii’n dete
Sach hai ki hamii’n dil ko sanbhalne nahii’n dete

Kis naaz se kahte hai’n vo jhunjhalaa ke shab-e-vasl
Tum to hame’n karavat bhii badalne nahii’n dete

Parvaano’n ne faanuus ko dekhaa to ye bole
Kyo’n ham ko jalaate ho ki jalne nahii’n dete

Hairaan hoo’n kis tarah karoo’n arz-e-tamannaa
Dushman ko to pahaluu se vo Talane nahii’n dete

Dil vo hai ki fariyaad se labrez hai har vaqt
Ham vo hai’n ki kuchh muu’nh se nikalne nahii’n dete

Garmii-e-mohabbat me’n vo hai aah se maane'
Pankhaa nafas-e-sard kaa jhalne nahii’n dete

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 532