donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Akbar Allahabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* yeH maujooda tareeqe raahi-e-mulk-e-adam hoNge *

yeH maujooda tareeqe raahi-e-mulk-e-adam hoNge
nai tahzeeb hogi, aur naye saamaaN baham hoNge

naye unwaan say zeenat dikhaayegi haseeN apni
na aisa pech zulfoN meiN, na gesoo meiN yeH kHam hoNge

na to kHaatoonoN meiN rah jaayegi parde ki yeH paabandi
na ghooNghaT iss tarah say haajib-e-roo-e-sanam hoNge

badal jaayega andaaz-e-tabaa'e daur-e-gardooN say
nai surat ki kHooshiyaaN aur naye asbaab-e-gHam hoNge

na paida hoNgi kHat-e-naskH say shaan-e-adab aageeN
na nastaleeq harf iss taur say zeb-e-raqam hoNge

kHabar deti hai tahreek-e-hawa tabdeel-e-mausam ki
khileNge aur hi gul, zamzame bulbul kay kam hoNge

aqaayid par qayamat aayegi tarmeem-e-millat say
naya kaaba banega, magHribi putle sanam hoNge

bahut hoNge mugHanni nagHma taqleed europe kay
magar bejoRh hoNge, iss liye betaal-o-sam hoNge

humaari istalaahoN say zabaaN na-aashna hogi
logHaat-e-magHribi, bazaar ki bhaka say zam hoNge

badal jaayega mayaar-e-sharafat chashm-e-duniya meiN
zyada thay jo apne zo'am meiN, woH sab kam hoNge

guzishta azmatoN kay tazkare bhi rah na jaayeNge
kitaaboN hi meiN dafan afsaana-e-jaah-o-hasham hoNge

kisi ko iss tagHayyir ka na hiss hoga na gHam hoga
huay jis saaz say paida, usi kay zer-o-bam hoNge

tumheiN iss inqilaab-e-dahar ka kya gHam hai? ai AKBAR
bahut nazdeek haiN woH din na tum hoge, na hum hoNge

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 691