donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Akbar Allahabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Duniyaa .n mei.n hoo.n duniyaa kaa talabgaar nahii.n hoo.n *

Duniyaa .n mei.n hoo.n duniyaa kaa talabgaar nahii.n hoo.n
Baazaar se guzraa hoo’n Khariidaar nahii’n hoo’n

Zindaa hoo’n magar ziist kii lazzat nahii’n baaqii
Har chand ki hoo’n hosh me hoshiyaar nahii’n hoo’n

Is Khaanaa-e-hastii se guzar jaauungaa belaus
Saayaa hoo’n faqat naqsh-e-diivaar nahii’n hoo’n

Afasurdaa hoo’n ibrat se davaa kii nahii’n haajat
Gham kaa mujhe ye zauf hai biimaar nahii’n hoo’n

Vo gul hoo’n Khizaa’n ne jise barbaad kiyaa hai
Uljhuu’n kisii daaman se mai’n vo Khaar nahii’n hoo’n

Yaarab mujhe mahfuuz rakh us but ke sitam se
Mai’n us kii inaayat kaa talabgaar nahii’n hoo’n

Afasurdagii-o-jaur kii kuchh had nahii’n "Akbar"
Kaafir ke muqaabil me bhii diindaar nahii’n hoo’n

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 380