donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Akbar Allahabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dil meraa jis se bahaltaa koii aisaa na milaa, *

Dil meraa jis se bahaltaa koii aisaa na milaa,
but ke bande to mile allaah kaa bandaa na milaa

bazm-e-yaaraa’n se phirii baad-e-bahaarii maayuus,
ek sar bhii use aamaadaa-e-saudaa na milaa,


[bazm-e-yaaraa’n = gathering of friends; baad-e-bahaarii = spring wind]

gul ke Khvaahaa’n to nazar aaye bahut itr farosh,
taalib-e-zam-zam-e-bul-bul-e-shaidaa na milaa,


[Khvaahaa’n = desirous of]
[taalib-e-zam-zam-e-bul-bul-e-shaidaa = one who wants the song of
the bird who wants to give all to the flower]



vaah kyaa raah dikhaaii hame’n murshad ne,
kar diyaa kaabe ko gum aur kalisaa na milaa,


[murshad = teacher (guruu); kaliisaa = church]

sayyad uTThe jo gazaT le ke to laakho’n laaye,
shaiKh qura’an dikhaataa phiraa paisaa na milaa.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 546