|
* Hota Gaya jab mujh se woh anjan zeyada *
Hota Gaya jab mujh se woh anjan zeyada
Hone lagi us shakhs se pehchan zeyada
Kiya jane hai kis burj me'n qismat ka sitara
Kuchh din se tabiyat hai pareshan zeyada
Paya hai jaha'n kuchh, wahi'n khoya hai bahut kucch
Hijrat me'n hua hai hame'n nuqsan zeyada
Keya khush ho dil us vada-e-farda pe ke jis me'n
Milne se na milne ka ho imkan zeyada
Keya jane kab aajaye gharhi naqal maka'n ki
Accha hai ke ghar me'n na ho samaan zeyada
"Akbar" hai ajeeb aab-o-hawa dil ki zami'n ki
Gulzar yaha'n kam hai'n , bayaban zeyada
14, Beech Crescent,
Kidlington, Oxford OX5 IDW (U.K)
|
|