donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Akhtar Shahjahanpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Yeh kis jurm ki ab saza di gayee *
Yeh kis jurm ki ab saza di gayee
Ke shakh-e- nasheman jala di gayee

Jaha'n ke maki'n had se aage barhe
Woh basti hi ek din mita di gayee

Jo tasweer aa'nkho'n me'n rakhne ki thee
Woh bazaar me'n kiyo'n saja di gayee

Mujhe zauqe sher-o-sukhan de diya
Meri umar kitni barha di gayee

Chhupaye se afsurdagi kab chhupi
Khushi yu'n to rukh par saja di gayee

Azal se jo wajhe taalluq rahi
Wahi baat "Akhtar" bhula di gayee

			Rangeen Chaupal,
			Shahjahanpur-242001(U.P)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 339