donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Akhtar Shairani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ai ishq na chhe.D aa aa ke hame.n, *
Ai ishq na chhe.D aa aa ke hame.n,
ham bhuule huo.n ko yaad na kar,
pahle hii bahut naashad hai.n ham
tuu aur hame.n naashaad na kar
qismat kaa sitam hii kam nahii.n kuchh,
ye taazaa sitam ijaad na kar,
yuu.N zulm na kar bedaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar ,

jis din se mile hai.n dono.n kaa,
sab chain gayaa aaraam gayaa,
cheharo.n se bahaar-e-subah ga_ii
aa.Nkho.n se faroGh-e-shaam gayaa
haatho.n se Khushii kaa jaam chhuuTaa
ho.nTho.n se ha.Nsii kaa naam gayaa,
GamGii.n na banaa naashaad na kar,
ai ishq hame.n barbaad na kar ,

raato.n ko uTh uTh rote hai.n,
ro ro kar duaaye.n karte hai.n,
aa.Nkho.n me.n tasavvur dil me.n Khalish,
sar dhunate hai.n aahe.n bharte hai.n
ai ishq ye kaisaa rog lagaa
jiite hai.n na zaalim marte hai.n,
ye zulm to ai jallaad na kar,
ai ishq hame.n barbaad na kar .
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 363