donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Akhtar Shairani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* TamannaaoN ko zindaa aarzuoN ko jawaaN kar luuN *
TamannaaoN ko zindaa aarzuoN ko jawaaN kar luuN
yeh sharmiili nazar kah de to kuchh gustaakhiyaaN kar luuN
bahaar aaii hai, bulbul dard-e-dil kahtii hai phuuloN se
kaho to maiN bhii apnaa dard-e-dil tumse bayaaN kar luuN
hazaaroN shoKh armaaN chutkiyaaN le rahe haiN dil meN
hayaa unkii ijaazat de to kuchh be-baakiyaaN kar luuN
koii suurat to ho duniaa-e-faani meN bahalne kii
Thahar jaa aye jawaani maatam-e-umr-e-ravaaN kar luuN
mujhe donoN jahaaN meN ek voh mil jaayenge gar Akhtar
to apnii hasratoN ko be-nayaaz-e-do-jahaan kar luuN
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 340