|
* Kya kah gai kisi ki nazar kuchh na pochhiye *
Kya kah gai kisi ki nazar kuchh na pochhiye,
kya kuch hua hai dil pe asar kuchh na pochhiye,
wo dekhna kisi ka kunkhiyo'n se bar bar,
vo bar bar us ka asar kuchh na pochhiye,
ro ro ke is tarah se kaTi raat kya kahai'n,
mar mar ke kaise ki hai sahar kuchh na pochhiye,
"Akhtar" dayar-e-husn mai'n pahu'nchay to hai'n mar ke, hum
kyu'n kar hua hai tay ye safar kuchh na pochhiye. |
|