|
* Tum se berangii-e-hastii kaa gilaa karnaa thaa *
Tum se berangii-e-hastii kaa gilaa karnaa thaa,
Dil pe anbaar hai Khuu’n ghashtaa tamannaa’n kaa,
Aaj Toote hue taaro’n kaa Khayaal aayaa hai,
Ek melaa hai pareshaan sii ummiido’n kaa,
Chand pazmurdaa bahaaro’n kaa Khayaal aayaa hai,
Paanv thak thak ke rah jaate hai’n maayuusii mei'n,
Purmaha’n raah guzaaro’n kaa Khayaal aayaa hai,
Saaqii-o-baadaa nahii’n jaam-o-lab-e-juu bhii nahii’n,
Tum se kahanaa thaa ki ab aankh me aansuu bhii nahii’n.
|
|