donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Akram Kamal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ik yahi aakhri marhala aur hai *
Ik yahi aakhri marhala aur hai
Ik shajar aarzu ka hara aur hai
اک یہی آخری مرحلہ اور ہے
اک شجر آرزو کا ہرا اور ہے
aa.nkh rasmi ta’arruf ki qaayel nahi’n
betakalluf tujhe dekhna aur hai
آنکھ رسمی تعارف کی قایل نہیں
بے تکلف تجھے دیکھنا اور ہے
 
dasht-e-hasrat kaha’n ki.nch laaya mujhe
is jagah se to jangal hara aur hai
دشت حسرت کہاں کھینچ لایا مجھے
اس جگہ سے تو جنگل ہرا اور ہے
 
aye Kashakash !  kaha’n tujh se aajiz hun mai’n
haan magar in dino’n mashgala aur hai
اے کشاکش ! کہاں تجھ سے عاجز ہوں ميں
ہاں مگر ان دنوں مشغلہ اور ہے 
 
ya to lafzoo’n ki tarteeb mey nuqs hai
ya to matlab teri bat ka aur hai
یا تو لفظوں کی ترتیب میں نقص ہے
یا تو مطلب تیری بات کا اور ہے
 
sochiye aur khayaalo’n ko the kiijiye
lutf-e-takhliq is mey siwa aur hai
سوچۓ اور خیالوں کو تہ کیجیۓ 
لطف تخلیق اس میں سوا اور ہے 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 357