donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Alam Tab Tashna
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aa.Nkh pa.Datii hai kahii.n paao.n kahii.n pa.Dataa hai , *
Aa.Nkh pa.Datii hai kahii.n paao.n kahii.n pa.Dataa hai ,
sab kii hai un ko Khabar apnii Khabar kuchh bhii nahii.n,
shamaa hai gul bhii hai bul-bul bhii hai paravaanaa bhii ,
raat kii raat ye sab kuchh hai sahar kuchh bhii nahii.n,
hashr kii dhuum hai sab kahte hai.n yuu.N hai yuu.N hai ,
fitnaa hai ek terii Thokar kaa magar kuchh bhii nahii.n,
nestii kii hai mujhe kuuchaa-e-hastii me.n talaash ,
sair kartaa huu.N udhar kii ke jidhar kuchh bhii nahii.n,
ek aa.Nsuu bhii asar jab na kare ai "Tashna" ,
faayedaa rone se ai diidaa-e-tar kuchh bhii nahii.n.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 395