donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Alam Tab Tashna
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Safar may rah ke aashob se na Dar jana *
Safar may rah ke aashob se na Dar jana, 
parhe jo aag ka dariya to paar kar jana,

Ye ik ishara hai aafat e nagahani ka, 
kisi jagah se parindo'n ka kuchh kar jana,

Ye intaqam hai dasht e bala se badal ka, 
samundaro'n pe baraste hue guzar jana,

Tumhara qurb bhee duri ka istiara hai, 
ki jaise chaand ka talab may utar aana,

Meri yaqi'n ko bara badaguma'n kar ke gaya ,
dua e nimshab tera be asar jana,

Ajab hai'n rasm e gah e zindagi ki ye andaz, 
usi ne war kiya jisane besipar jana,

Hamare dam se hee awargi e shab thee, 
hamay ajib lage ab sham hee se ghar jana.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 868