donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aleena
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Nazar ate hi Apna sabkuch fida karne ko ho jayein tyar *
Nazar ate hi Apna sabkuch fida karne ko ho jayein tyar 
Wah re Qudrat, Paida hote hi wo nanna unki jaan hota hai, 

Khud se barh kar wo pyari si hasti unhe ho jaye pyari 
Masoom sa wo wujood unki phir qul qainaat hota hai, 

Naam pe uske waari jayein,dekh dekh use muskurayein 
Ghar ka unke wo dulhara jag mein unki pehchaan hota hai, 

Naazon se use wo paalte hain,har nakhra uska unki sar ankhon par 
Jeewan ka unke bharm, burhape ka unka keemti saaman hota hai, 

Khawahishein sabhi unki, usi se shuru usi pe hon tamam kahtm 
Zindagi ka sabse barha unka wo anmol sa armaan hota hai, 

Neendein apni lootate hain,apni duniya ka mehwar use banate hain 
Ek Khuda pe hota hai bhrosa,our aulaad pe apni maa baap ko maan hota hai.... 


Isliye suno.... 


Sar pe hai jab talk saya unka, tum qadar unki jaan lo 
Be-lous unki chahat our mohabbat ko pehchaan lo, 

Jaise sambhala hai teri tamannaon ko unho ne sada 
Sahara bano our unki hasraton ko tum sambhal lo, 

Ho chahe baat ghalt unki,lab si lo, bura na kehna kabhi 
Akhrat ka apni khidmat karke unki bana kuch saman lo, 

Jaise nakhre tere uthaye muskurate hue unho ne humesha 
Kadmon mein rakh do sar unke, pyar unhe beshumaar do, 

Jag choote to choot jaye, damn maa baap ka na chorhna tum 
Rab ka tohfa-e-anmol hain yeh aik tere liye, baat meri maan lo
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 334