donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aleena
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mera humdard hi jo na samjhe dard mera, *
Mera humdard hi jo na samjhe dard mera, 
Kisi our ko apna dard phir main sunao kaise, 

Jism pe nahin, meri ruh pe hai laga ek zakhm, 
Apne andar se ab yeh chot kisiko dikhon kaise, 

Raat jab hoti hai,so jane ko kehte hain sab, 
Ankhon ko aye khouf neend se, to so jaon kaise?, 

Ek ajab si kashmakash mein rehta hai dil, 
Koi to mujhe batlaye yeh uljhan suljaon kaise, 

Main lakh karon koshish wo hadsa bholane ki, 
phir bhi ata jaye yaad, to bolo pehra lagaon kaise, 

Koi karta nahin mehsoos,darr mera koi samjhta nahin, 
Kitni bebas hon kitni hon majboor, main ab samjhon kaise !! 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 347