donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aleena
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Apno ko bakhso tum muskurahtein *
Apno ko bakhso tum muskurahtein 
Khud bhi suno sada muskurate raho, 

Na daro kabhi zara sa bhi toofanon se 
Khwab haseen bas palkon pe sajate raho, 

Baharon ka baagh banao dil ko apne 
Mohabbat ki khusbo se use mehkate raho, 

Dilbar jo kabhi rooth jaye rah-e-wafa mein 
Apna hai wo yeh soch kar use manate raho, 

Mayoos jo koi ho jaye jeewan se apne 
Khuda ki qudrat usse tum samjhate raho, 

Haan Yeh aik bouhat munfarid si baat hai lekin 
Kabhi kabhi Khud ko bhi thoda tum azmaate raho, 

Roshni do jag ko anderi rahon mein tum 
Sitaron ki tarha tum har dam timtimate raho, 

Asaan nahin hai yeh kaam, magr karke dekho 
Koi shajar bano,Dhoop se logon ko bachate raho, 

Zindagi aik nayimat hai bouhat anmol si, 
Sath iska ae yaar har haal mein bas nibhate raho. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 370