donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aleena
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Yeh Khamoshiyan meri Khuda jane kitne raaz chupaye hue hain *
Yeh Khamoshiyan meri Khuda jane kitne raaz chupaye hue hain 
Nahin khabar kisko yeh apne andar aik toofan basaye hue hain, 

Nazron ko jhukana kabhi takaza bebasi ka kabhi haya ka hota hai 
Ansoon ke khayl se maine to aajkal palkon ke jhalar ghiraye hue hain, 

Dar hai Mere sath sath mere chahne wale kahin toot kar bikhar na jayein 
Kuch aise gehre is dil ki gehrayi mein maine zakhm chupaye hue hain, 

Hansti bhi hon, ghungunati bhi hon, jaise bhi ho muskurati bhi hon 
Dard kahin machal na jayein, mat poocho kaise un pe pehre lagaye hue hain 

ASMAAN pe hoti hain sabki nazar, hai baat kitni Khairangi ki Aleena 
Jab ke is ZAMEEN ne kaise kaise hum jaise apne andar dafnaye hue hain!!
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 324