donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aleena
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Wo sabse alag hai, wo sabse juda hai, *
Wo sabse alag hai, wo sabse juda hai, 
Wo meri duniya hai wo mera jahan hai, 

Main zameen hon, wo mera asman hai, 
Main jidhar dekhti hon wo har jagah hai. 

Wo hai tohar tarf khushi ka samaa hai, 
bin uske chayi rehti har soo kaali ghata hai. 

Sochti usse kaise bataon, kaise dikhaon, 
Mere liye zameen pe wo roop-e-khuda hai. 

Wo bhi chahta mujhe behad bepanah hai, 
Meri bhi wo Mohabbat hai meri wo wafa hai. 

Maine barson mangi jo rabse, wo wohi dua hai, mera sabkuch us pe fida ussi pe qurban hai. 

Har dadhkan deti ussi ko bas sada hai, 
Wo ishare nahin samjhta, kitna nadaan hai. 

Dil ussi ko chahta hai, mann ko wohi aik bhaata hai, 
Lafzon se bata sakon main yeh nahin itna asaan hai. 

Shikwa hai mujhe uss se koi, na koi gila hai, 
Kabhi kabhi jo wo deta dil bhi dukha hai. 

Bechaniyon ko de qarar, wo dard-e-dil ki dwa hai, 
Main sans le sakon jiss mein wo mere liye aisi hawa hai. 

Tum bhi kitni pagal ho kitni Masoom ho Aleena, 
Alfaz dhoond rahi ho batane ko, ke wo tere liye kya hai.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 329