donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aleena
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Adat si ho gayi hai zamane ko mujhe satane ki, *
Jaise lagati thi bachpan mein,waise mujhe gale laga lo, 
Ae Meri maa mujhe Ap apni bahon mein chupa lo..... 

Adat si ho gayi hai zamane ko mujhe satane ki, 
Ae Meri maa mujhe Ap is berehm jag se bacha lo.... 

Sabr O housla jo maine dekha hai apki zaat mein sada, 
Ae Meri maa is thehrao ka raaz mujhe bhi to samjha do.... 

Andhere mein chalte chalte kuch thak si gayi hon, 
Ae Meri maa ab mujhe Ap rasta roshni ka dikha do..... 

Kitni hi baar toot kar bikarne par jo sambhala hai, 
Ae Meri maa ab mujhe Khud bhi sambhlna Ap sikha do.... 

Main apke ehsanon ka karz to jhuka nahin paongi kabhi, 
Ae Meri maa apni magar muskaan ki Ap koi wajah bata do.... 

Meri rag rag mein hai apki Mohabbat ki khushboo, 
Ae Meri maa aaj mujhse apni hi khushboo Ap chura lo.... 

Jane kyon Zindagi kuch tham si gayi hai aik jagah, 
Ae Meri Maa Apko mamta ka wasta, 
Mujhe aaj Ap koi phir Dua do!!! 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 422