donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aleena
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mera dil mujhse our main dil se ulajhti rahi raat bhar, *
Mera dil mujhse our main dil se ulajhti rahi raat bhar, 
Tez toofan mein shama ki trha jalti bhujti rahi raat bhar, 

Kya khoya kya paya maine wo raat ke us pehar mein, 
Bina kuch samjhe anokha sa hisab karti rahi raat bhar, 

Itna kuch socha tha us mehruban se kehna hai aaj, 
Wo apni suna kar chal diya,main yonhi tarasti rahi raat bhar 

Toofan bohat se aye our guzr gaye jeewan ke safr mein, 
Phir kyon yeh kasak anjani si dil ko mere jhalti rahi raat bhar?, 

Belaos si chahat jo mere mann mein uske liye Rab ne bhar di hai, 
Usi khuloos ke sahare main bikhrte bikhrte sambhalti rahi raat bhar, 

Samundar si khamoshi mein,ajeeb qabr si tanhayi mein, 
Main apni bebas siskiyon ki sada khud hi sunti rahi raat bhar, 

Ghum ho koi ya dard ho,aansoo bahana adat na thi, 
na chahte hue bhi ruk ruk kar ankhein barasti rahi raat bhar, 

Jane koan sa bharm toota khwabon ke nagar mein, 
Mere andhr ki MasoomLadki pal pal jeeti marti rahi raat bhar.... 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 327